Wednesday, December 23, 2009

Ata Hai Yad Mujhko Guzara Hua Zamana by Allama Iqbal

ata hai yad mujhko guzara hua zamana
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana
azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
apni khushi se ana apni khushi se jana
lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana
wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
abad jis k dam se tha mera ashiyana


No comments:

Post a Comment

search topic that you want